Noor e Mutlaq hai(n) Payambar
Kasida by :
His Holiness Hazrat Syed Shah Murshid Ali Al-Quaderi Al-Baghdadi (AS)
( Maula Pak Quebla )
from the Original Book in Urdu: Dewan e Hazrat e Jamal
Transliterated into English by: Md Istemdad Ali
Noor e mutlaq hai(n) payambar ya Ali e Murtaza
Aur tum ho unke mazhar ya Ali e Murtaza
Dono tum ho noor e daawar ya Ali e Murtaza
Balke yak jaan o do paikar ya Ali e Murtaza
Tum ho Maula wo hai(n) sarwar ya Ali e Murtaza
Tum wasi ho woh payambar ya Ali e Murtaza
Aap hain nafse payambar ya Ali e Murtaza
Ummati humsar ho(n) kyunkar ya Ali e Murtaza
Tum ne toda baab e khaibar ya Ali e Murtaza
Kab ho tumsa zor aawar ya Ali e Murtaza
Aap ke hai(n) zaaire dar ya Ali e Murtaza
Qudsi o arshi se badhkar ya Ali e Murtaza
Ahle bait e pak hi ke faiz se Islam o dee(n)
Hashr tak shae(n) ho(n) ghar ghar ya Ali e Murtaza
Dagh e ishqe Panjetan ki garmiya(n) dekhei(n) agar
Sard ho khursheed e Mehshar ya Ali e Murtaza
Haath aae tum ko Mehshar mei(n) liwae Ahmadi
Aur ho qabze mei(n) kausar ya Ali e Murtaza
Lahmo ka lehmi se rabte jism o jaa(n) zaahir hua
Aap hain zaat e payambar ya Ali e Murtaza
Shams ko phera hai do baar aapne phir kyon nahi
Pherte mera muqaddar ya Ali e Murtaza
Aap murshid hain hamare peer e peera(n) peer hai(n)
Aur paighambar hai(n) rehbar ya Ali e Murtaza
Kyu(n) na Maula e do aalam tum ko kehte momeneen
Tum to ho nafse payambar ya Ali e Murtaza
Lehmo ka lehmi ke shaaya(n) ho nabi ki jaan ho
Jaan o dil qurbaan tum par ya Ali e Murtaza
Jab musallam hai ke muslim hai tumhara dostdar
Ho adu kafir na kyu(n) kar ya Ali e Murtaza
Shehr e ilme Mustafa ke dar ke darba(n) Ghaus hai(n)
Aap hain uss shehr ke dar ya Ali e Murtaza
Na khuda Ghaus e Khuda hain deen e Ahmad hai jahaaz
Aur uske tum ho langar ya Ali e Murtaza
Mushkilei(n) aasaan kar do ae mere Mushkil Kusha
Sakht waqt aaya hai mujhpar ya Ali e Murtaza
Aap hain Mushkil Kusha faryaad ras hai(n) Ghaus Pak
Phir masaaib ka ho kya darr ya Ali e Murtaza
Aap hai(n) shah e wilaayat Ghaus shah e auliya
Phir na phaile fuqr kyu(n) kar ya Ali e Murtaza
Likh sake kya banda uska wasf jiska ho khuda
Aap Quraa(n) mei (n) sanaagar ya Ali e Murtaza
Ain e deedar e Khuda hai dekh lena aap ka
Aap hai(n) woh Haq ke manzar ya Ali e Murtaza
Jitne guzre khalq mei(n) aali maratib sab se tum
Misle paighambar ho badhkar ya Ali e Murtaza
Auliya Allah mei(n) roz e azal se aap ka
Faiz jaari hai baraabar ya Ali e Murtaza
Ghaus e Aazam kyu(n) na kehlaate bade peer aap the
Aap ke farzand e Akbar Ya Ali e Murtaza
Khaas maslak hai tumhara khandaan e qadri
Iss tariqe ke ho rehbar ya Ali e Murtaza
Ghaus e Aazam qutbe aalam aap ke farzand hai(n)
Kaun hai unke baraabar ya Ali e Murtaza
Ghaus e Aazam ne khuda ke hukm se rakha qadam
Auliya ki gardano(n) par ya Ali e Murtaza
Ghar banao meri aankhon mei(n) jagah dil mei(n) karo
Baap bete dono milkar ya Ali e Murtaza
Aap ke Mehr e Ali Al Qadri ka hoo(n) ghulam
Phir na kyu(n) kehlaaoo(n) Qambar ya Ali e Murtaza
Ye nahi mumkin ke aasi hashr mein bakhshaa na jaae
Aap ka maddah bankar ya Ali e Murtaza