Daware Har Do Jahan Hazrate Ghausus Saqalain
Kasida by :
His Holiness Hazrat Syed Shah Murshid Ali Al-Quaderi Al-Baghdadi (AS)
( Maula Pak Quebla )
from the Original Book in Urdu: Dewan e Hazrat e Jamal
Transliterated into English by: Md Istemdad Ali / Syed Mujtaba Quader
Daware Har Do Jahan Hazrate Ghausus Saqalain
Sarware Kaun o Maka(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Aap hai(n) Sheikh e Jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Aap hai(n) Peer e Zama(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Ghause Aghwaase Jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Qutbe Aqtaabe Zama(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Sheikh e kul Sheikh e Jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Peer har Peer o Jawa(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Aap ka maahe viladat hae mubarak ho na kyu(n)
Shahre pake Ramaza(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Ab to paida hue us mei(n) naho kyo(n) Eid ka chand
Jumlae maahe Ramaza(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Hai(n) khalaaeq ke liye rehmate aalam ki tarah
Baaise aman o amaa(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Kul muridoo(n) ki madad ko dame naza aate hai(n)
Hai(n) madadgaar e jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Ab to deedar dikha dijiye apna lillah
Kab se hu(n) mei(n) nigeraa(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Jisko chahei(n) unhai(n) aankho(n) se dikhadei(n) Haq ko
Kashife sirre niha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Warafa’na laka zikrak se hai maqsood yahi
Rahei(n) mazkoor e jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Jadde aazam ki nabuat hai jaha(n) tak shaae
Peer o Murshid hai(n) waha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Muhiuddine Nabavi aap hai(n) Mahdi ki tarah
Aye Masihaa e Zama(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Ahle Bait e shahe laulak mei(n) Haidar ki tarah
Hai(n) Imam e Do Jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Saiyede Aalam o Haidar ki sifat beshak hai(n)
Fakhre Sadaate Jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Aap beshak Hasani aur Hussaini bhi hai(n)
Aye Shareefe do Jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Lamaka(n) hai wo maka(n) aur wahi Baitullah
Ghar banate hai(n) jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Sar jhukaaya wahi(n) humne adaban par(d)h ke durood
Hue mazkoor jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Auliya gardano ko apni jhukate hai(n) waha(n)
Paao(n) rakhte hai(n) jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Saare mehboob e Khuda jinke muhib bante hai(n)
Hai(n) wo Mehboob e Jaha(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Chashmaae Mehr e Ali Shah mei(n) hai misle kausar
Aap ka fayez rawa(n) Hazrate Ghausus Saqalain
Faaseqo(n) ko bhi bana dete hai(n) aasi ki tarah
Qutb o Abdal e Zama(n) Hazrate Ghausus Saqalain